Sandese Aate Hai Lyrics

Sandese Aate Hai lyrics from Border (1997) movie is penned by Javed Akhtar, sung by Sonu Nigam, Roop Kumar Rathod, music composed by Anu Malik, starring Akshaye Khanna, Jackie Shroff, Pooja Bhatt, Rakhee, Sunil Shetty, Sunny Deol, Tabu.




104 29

Song Lyrics

[Chorus]

Sandese aate hain hame tadpaate hain
Jo chitthi aati hai vo puchh jaati hai
Ke ghar kab aaoge
Ke ghar kab aaoge likho kab aaoge
Ke tum bin ye ghar soona soona hai [x2]

Kisi dilwaali ne kisi matwaali ne
Hame khat likkha hai
Ki hamse poocha hai
Kisi ki saason ne kisi ki dhadkan ne
Kisi ki choodi ne kisi ke kangan ne
Kisi ke kajre ne kisi ke gajre ne
Mahekti subahon ne machalti shaamon ne
Akeli raaton ne adhuri baaton ne tarasti baaho ne
Aur poochha hai tarsi nighahon ne
Ke ghar kab aaoge
Ke ghar kab aaoge likho kab aaoge
Ki tum bin ye dil soona soona hai

Sandese aate hain hame tadpate hain
Jo chitthi aati hai to pooche jaati hai
Ke ghar kab aaoge
Ke ghar kab aaoge likho kab aaoge
Ki tum bin ye ghar soona soona hai

Mohabbat walon ne hamare yaaron ne
Hame ye likkha hai ke hamse poocha hai
Hamare gaaon ne aam ki chaaon ne
Puraane peepal ne baraste baadal ne
Khet khaliayanon ne hare maidanon ne
Basanti belon ne jhoomti belon ne
Lachakte jhulon ne behakte phoolon ne
Chatakti kaliyon ne
Aur puchha hain gaaon ki galiyon ne
Ke ghar kab aaoge likho kab aaoge
Ke tum bin gaaon soona soona hai

Sandese aate hain hame tadpate hain
To chitthi aati hai to pooche jaati hai
Ke ghar kab aaoge
Ke ghar kab aaoge likho kab aaoge
Ki tum bin ye ghar soona soona hai

[Chorus]

Kabhi ek mamta ki pyaar ki ganga ki
Vo chitthi aati hai saath wo laati hai
Mere din bachpan ke khel wo aangan ke
Vo saaya aanchal ka wo teeka kaajal ka
Vo lori raaton mein wo narmi haathon mein
Vo chaahat aankhon mein wo chinta baaton mein
Bigadna upar se mohabbat andar se
Kare wo Devi Maa
Yahin har khat mein poochhe meri maa
Ke ghar kab aaoge
Ke ghar kab aaoge likho kab aaoge
Ki tum bin aangan soona soona hai

Sandese aate hain hame tadpate hain
Jo chitthi aati hai to pooche jaati hai
Ke ghar kab aaoge
Ke ghar kab aaoge likho kab aaoge
Ki tum bin ye ghar soona soona hai

Aye guzarne waali hawa bata
Mera itna kaam karegi kya
Mere gaanv jaa mere dosto ko salaam de
Meri gaanv mein hai jo wo gali
Jahaan rehti hai meri dilruba
Use mere pyaar ka jaam de
Use mere pyaar ka jaam de

Wahin thodi door hai ghar mera
Mere ghar mein hai meri boodhi maa
Meri maa ke pairon ko chhoo ke tu
Use uske beta ka naam de

Ae guzarne waali hawa zara
Mere doston meri dilruba
Meri maa ko mera payaam de
Unhe jaake tu ye payaam de

Main wapas aaoonga
Main wapas aaoonga
Phir apne gaaon mein usi ke chaaon mein
Ke maa ke aanchal se
Gaanv ke peepal se kisi ke kaajal se
Kiya jo waada tha wo nibhaunga

[Main ek din aaoonga] x8


Official Video Song



Song Details

The Sandese Aate Hai song lyrics is written by Javed Akhtar in the year 1997. It was sung by Sonu Nigam, Roop Kumar Rathod, featuring Akshaye Khanna, Jackie Shroff, Pooja Bhatt, Rakhee, Sunil Shetty, Sunny Deol, Tabu. The details of Sandese Aate Hai song lyrics are given below:

movie Movie: Border

singer Singer: Sonu Nigam, Roop Kumar Rathod

lyricist Lyricist / Lyrics Writer: Javed Akhtar

music Music / Music Composer: Anu Malik

artist Artists / Stars: Akshaye Khanna, Jackie Shroff, Pooja Bhatt, Rakhee, Sunil Shetty, Sunny Deol, Tabu

music on Music On: Venus

year Year: 1997


Sandese Aate Hai lyrics from Border

Border Songs List

74
21
37
12
34
12
26
8
18
4