Tum To Thehre Pardesi Lyrics

Tum To Thehre Pardesi lyrics is penned by Zaheer Alam, sung by Altaf Raja, music composed by Mohd Shafi Niyazi, starring Altaf Raja.




2 1

Song Lyrics

Tum to thehre pardesi
Tum to thehre pardesi
Saath kya nibahaaoge
Tum to thehre pardesi
Saath kya nibahaaoge
Tum to thehre pardesi
Saath kya nibhaaoge
Tum to thehre pardesi
Saath kya nibhaaoge
Tum to thehre pardesi
Saath kya nibhaaoge

Subaha pehli subaha pehli
Subaha pehli gaadi se
Ghar ko laut jaaoge
Subaha pehli gaadi se
Ghar ko laut jaaoge
Tum to thehre pardesi
Saath kya nibhaaoge

Jab tumhein akele mein
Meri yaad aayegi
Jab tumhein akele mein
Meri yaad aayegi
Khiche khiche hue rahetin ho kyon
Khiche khiche hue rahetin ho
Dhyan kiska hain
Zara batao to ye imtihaan kiska hai
Hamein bhula do
Magar ye to yaad hi hoga
Nayi sadak pe purana makaan kiska hai
Jab tumhein akele mein meri yaad aayegi
Jab tumhein akele mein meri yaad aayegi
Aasuon ki aasuon ki
Aasuon ki baarish mein
Tum bhi bheeg jaaoge
Aasuon ki baarish mein
Tum bhi bheeg jaaoge
Tum to thehre pardesi
Saath kya nibahaaoge

Gam ki dhup mein dil ki
Hasratein na jal jaaye
Gam ki dhup mein dil ki
Hasratein na jal jaaye

Tujhko Ae
Tujhko dekhenge sitaarein to ziya mangenge
Tujhko dekhenge sitaarein to ziya mangenge
Aur pyaase teri julfo se ghata mangenge
Apne kaandhe se duppata na sarakne dena
Warna budhe bhi jawani ki dua maangenge
Imaan se

Gam ki dhup mein dil ki
Hasratein na jal jaaye
Gam ki dhup mein dil ki
Hasratein na jal jaaye
Kesuon ke kesuon ke
Kesuon ke ke saaye mein
Kab hamein sulaaoge
Kesuon ke saaye mein 
Kab hamein sulaaoge
Tum to thehre pardesi
Saath kya nibahaaoge

Mujhko katal kar daal lo
Shauk se magar socho
Mujhko katal kar daal lo
Shauk se magar socho
Iss shehar-ae-namurad ki
Izzat karega kaun
Arey hum bhi chale gaye
Toh mohabbat karega kaun
Iss ghar ki dekh bhaal ko
Veeraniyan toh hon
Iss ghar ki dekh bhaal ko
Veeraniyan toh hon
Jaale hata diye toh
Hifazat karega kaun
Mujhko katal kar daal lo
Shauk se magar socho
Mujhko katal kar daal lo
Shauk se magar socho
Mere baad mere baad
Mere baad tum kis par
Ye bijliyaan giraoge
Mere baad tum kis par
Bijliyaan giraoge
Tum to thehre pardesi
Saath kya nibahaaoge

Yun toh zindagi apni
Maikade mein gujari hai
Yun toh zindagi apni
Maikade mein gujari hai

Ashkon mein husn-o-rang samota raha hun main
Ashkon mein husn-o-rang samota raha hun main
Aanchal kisi ka thaam ke rota raha hun main
Nikhra hai ja ke ab kahin chehra shaaur ka
Nikhra hai ja ke ab kahin chehra shaaur ka
Barson isse sharab se dhota raha hun main

Yun toh zindagi apni
Maikade mein gujari hai

Bahki hui bahar ne peena sikha diya
Badmast bar ko baar ne peena sikha diya
Peeta hun iss garaz se jeena hai chaar din
Peeta hun iss garaz se jeena hai chaar din
Marne ke intezaar ne peena sikha diya

Yun toh zindagi apni
Maikade mein guzari hai
Yun toh zindagi apni
Maikade mein guzari hai
In nashili in nashili
In nashili aankhon se
Arey kab hamen pilaoge
In nashili aankhon se
Kab hamen pilaoge
In nashili aankhon se
Kab hamen pilaoge
Tum to thehre pardesi
Saath kya nibahaaoge

Kya karoge tum aakhir
Kabar par meri aakar
Kya karoge tum aakhir
Kabar par meri aakar
Kya karoge tum aakhir
Kabar par meri aakar
Kyon ke jab tumse itefaakan
Jab tumse itefaakan
Meri nazar mili thi
Ab yaad aa raha hai
Shayad woh january thi
Tum yu mili dubara
Phir maahe february mein
Jaise ke hamsafar ho
Tum raah-ae-zindagi mein
Kitna hansi zamana
Aaya tha march lekar
Raahein wafa pe thi tum
Waadon ki torch lekar
Baandha jo ahde ulfat
April chal raha tha
Duniya badal rahi thi
Mausam badal raha tha
Lekin mayi jab aayi
Jalne laga zamana
Har shaks ki zabaan par
Tha bas yahi fasana
Duniya ke dar se tumne
Badli thi jab nigaahein
Tha june ka mahina
Lab pe thi garm aahein
Jully mein jo tumne
Ki baatchit kutch kam
Thein aasman pe baadal
Aur meri aankhein purnam
Mah-ae-august mein jab
Barsaat ho rahi thi
Bas aasuon ki baarish
Din raat ho rahi thi
Kutch yaad aa raha hai
Woh maah tha sitamber
Bheja tha tumne mujhko
Tark-ae-wafa ka letter
Tum gair ho rahi thi
Octobar aa gaya tha
Duniya badal chuki thi
Mausam badal chuka tha
Jab aa gaya november
Aaisi bhi raat aayi
Mujhse tumhein chudane
Sajkar baraat aayi
Be khaif tha december
Jajbaat mar chuke thein
Mausam tha sard usmain
Armaan bikhar chuke the
Lekin ye kya batau
Ab haal dusra hai
Lekin ye kya batau
Ab haal dusra hai
Lekin ye kya batau
Ab haal dusra hai
Lekin ye kya batau
Ab haal dusra hai
Arey woh saal dusra tha
Ye saal dusra hain
Woh saal dusra tha
Ye saal dusra hain
Woh saal dusra tha
Ye saal dusra hain
Kya karoge tum aakhir
Kabra par meri aakar
Thodi der thodi der
Thodi der ro loge
Aur bhool jaaoge
Thodi der thodi der
Thodi der ro loge
Aur bhool jaaoge

Tum to thehre pardesi
Saath kya nibhaaoge
Tum to thehre pardesi
Saath kya nibhaaoge
Subah pehli gaadi se
Ghar ko laut jaaoge
Subah pehli gaadi se
Ghar ko laut jaaoge
Subah pehli gaadi se
Ghar ko laut jaaoge


Official Video Song



Song Details

The Tum To Thehre Pardesi song lyrics is written by Zaheer Alam in the year 1999. It was sung by Altaf Raja, featuring Altaf Raja. The details of Tum To Thehre Pardesi song lyrics are given below:

movie Album: Tum To Thehre Pardesi

singer Singer: Altaf Raja

lyricist Lyricist / Lyrics Writer: Zaheer Alam

music Music / Music Composer: Mohd Shafi Niyazi

artist Artists / Stars: Altaf Raja

music on Music On: Venus Worldwide Entertainment

year Year: 1999


Tum To Thehre Pardesi lyrics

Album Songs List

400
118
381
101
312
103
267
91
246
84
232
80
220
81
206
73
203
71
196
78
187
65
183
70
182
82
181
64
180
77