Oo Mr. Raja Lyrics

Oo Mr. Raja lyrics from Dulhan Hum Le Jayenge (2000) movie is penned by , sung by Sonu Nigam, Alka Yagnik, music composed by , starring Salman Khan, Karishma Kapoor.




3 2

Song Lyrics

O mister raja laut ke aaja
Hui khata ab maan ja

O mister raja laut ke aaja
Hui khata ab maan ja
Jo tu na mana, bana begana
To tere pyaar mein deewani ho ke
Teri kasam de doongi main jaan

O jaan-e-jaana paas na aana
Teri baaton mein nahin aaunga
Jo toone chheda main bhi hoon tedha
Hai is jawaani ki kasam
Tera band main baja ke jaaunga
O mister raja laut ke aaja
Hui khata ab maan ja

Tere paiyaan padoon sajna
Haan re gale laga le o balma
Tere paiyaan padoon sajna
Haan re gale laga le o balma
Hey maan le kehna door hi rehna
Phir na tu yeh kehna
Maan le kehna door hi rehna
Phir na tu yeh kehna
Maine dhokha diya tujhko
Arre re nahin mauka diya tujhko
Mere saiyaan le baiyaan chal chhaiyaan
Main tujh pe fida
O jaan-e-jaana paas na aana
Teri baaton mein nahin aaunga
Jo toone chheda main bhi hoon tedha
Hai is jawaani ki kasam
Tera band main baja ke jaaunga
O mister raja laut ke aaja
Hui khata ab maan ja

Kyun mujhe satata hai
Arre re kyun mujhe rulata hai
Kyun mujhe satata hai
Arre re kyun mujhe rulata hai
Tu yeh rona dhona leke mere paas na aana
Tu yeh rona dhona leke mere paas na aana
Arre tu hai badi jhoothi
Haaye re main chhoota jo tu roothi
Mere yaara dobara na kehna
Ke main hoon jhoothi
O mister raja laut ke aaja
Hui khata ab maan ja
Jo tu na mana, bana begana
To tere pyaar mein deewani ho ke
Teri kasam de doongi main jaan
O jaan-e-jaana paas na aana
Teri baaton mein nahin aaunga

[Raja tu bahut akad raha hai na nahin maan raha hai na
Pakka nahin maan raha
Haan nahin maan raha hoon
Theek hai to main saari raat yahin rahoongi
Log mujhe uthakar le jaayenge
Tab aana
Phir mat kehna ke maine tumhein warning nahin di thi
Get lost
Pakka nahin maan raha hai
Haan haan nahin maan raha hoon
Jo karna hai karle ghadi ghadi drama karti hai
Raja theek hai to tab aana jab main mar jaaoongi
Mar jaaoongi main]

Tu jaan hai armaan hai
Mere pyaar ki pehchaan hai
Par thodi thodi tu nadaan hai
Tu jo kahegi main waisa karunga
Teri har zid ko poora karunga
Chalo baba maaf karo hans bhi do
Maine dil saaf kiya kah bhi do
Roothna manana hai pyaar ki adaa
Kaise jiyunga main tumse hoke juda
O jaan-e-jana maan bhi jana
Chhod de nakhre dikhana tu
Jo tu na maani bani begaani
To tere pyaar mein deewana hoke teri kasam
De doonga main jaan

O mister raja baahon mein aaja
Maan gayi main pehchaan gayi
Ab na ladenge mil ke rahenge
Bas yoon hi pyaar mein deewane hoke
Ik dooje mein khoye rahenge


Official Video Song



Song Details

The Oo Mr. Raja song lyrics is written by in the year 2000. It was sung by Sonu Nigam, Alka Yagnik, featuring Salman Khan, Karishma Kapoor. The details of Oo Mr. Raja song lyrics are given below:

movie Movie: Dulhan Hum Le Jayenge

singer Singer: Sonu Nigam, Alka Yagnik

lyricist Lyricist / Lyrics Writer:

music Music / Music Composer:

artist Artists / Stars: Salman Khan, Karishma Kapoor

music on Music On:

year Year: 2000


Oo Mr. Raja lyrics from Dulhan Hum Le Jayenge

Dulhan Hum Le Jayenge Songs List

3
2
1
3