Zindagi Ittafaaq Hai Lyrics

Zindagi Ittafaaq Hai lyrics from Aadmi Aur Insaan (1969) movie is penned by Sahir Ludhianvi, sung by Asha Bhosle, Mahendra Kapoor, music composed by Ravi, starring Ajit, Dharmendra, Feroz Khan, Madan Puri, Mumtaz, Saira Banu.




22 5

Song Lyrics

zindagi ittafaaq hai, zindagi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai 

jaam pakad badha ke haath maang dua ghate na raat
jaan-e-vafa teri qasam kahte hai dil ki baat ham
gar koyi mel ho sake aankho ka khel ho sake
apne ko khush nasib jaan vaqt ko meharabaan maan
milte hai dil kabhi-kabhi varna hai ajnabi sabhi
mere hamdam mere meharabaan
har khushi ittafaaq hai, har khushi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai 

husn hai aur shabaab hai zindagi qaamayaab hai
bazm yun hi khili rahe apani nazar mili rahe
rag yun hi jamaa rahe vaqt yu hi thama rahe
saaz ki lay pe jhum le zulf ke kham ko chum le
mere kiye se kuchh nahi tere kiye se kuchh nahi
mere hamdam mere meharabaan
ye sabhi ittafaaq hai, ye sabhi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai, zindagi ittafaaq hai

koi to baat kijiye yaaro ka saath dijiye
kabhi gairo se bhi apno ka gumaan hota hai
kabhi apne bhi najar aate hai begaane se
kabhi khwabo me chamakte hai muraado ke mahal 
kabhi mahalo me ubhar aate hai viraane se 
koi rut bhi sada nahi kya hoga kuch pata nahi
gum fizul hai gum na kar aaj ka jashn kam na kar
mere hamdam mere meharabaan
har khushi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai 

khoye se ho kyu is kadar dhundhti hai kise najar
aaj maalum hua pehle ye maalum na tha 
chahte badh ke pashemaan bhi ho jaati hai
dil ke daaman se lipatati hui rangin najare
dekhte dekhte anjaan bhi ho jaati hai
dekhte dekhte anjaan bhi ho jaati hai
yaad jab ajnabi bane yaad jab berukhi bane
dil pe seh ja gila na kar sabse haskar mila najar
mere hamdam mere meharabaan
dosti ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai


Official Video Song



Song Details

The Zindagi Ittafaaq Hai song lyrics is written by Sahir Ludhianvi in the year 1969. It was sung by Asha Bhosle, Mahendra Kapoor, featuring Ajit, Dharmendra, Feroz Khan, Madan Puri, Mumtaz, Saira Banu. The details of Zindagi Ittafaaq Hai song lyrics are given below:

movie Movie: Aadmi Aur Insaan

singer Singer: Asha Bhosle, Mahendra Kapoor

lyricist Lyricist / Lyrics Writer: Sahir Ludhianvi

music Music / Music Composer: Ravi

artist Artists / Stars: Ajit, Dharmendra, Feroz Khan, Madan Puri, Mumtaz, Saira Banu

music on Music On:

year Year: 1969


Zindagi Ittafaaq Hai lyrics from Aadmi Aur Insaan

Aadmi Aur Insaan Songs List

18
5
10
3
8
2
6
3
5
2
4
2
3
2
2
3