Allah Karam Karna Lyrics

Allah Karam Karna lyrics from Dada (1979) movie is penned by Gauhar Kanpuri, sung by Suman Kalyanpur, music composed by Usha Khanna, starring Amjad Khan, Vijaya Chaudhary, Pallavi Joshi.




15 9

Song Lyrics

Hum sabko nek raah
Chalana mere allaah
Bandon ko buraai se
Bachana mere allaah
Allaah karam karna
Maula tu reham karna
Allaah karam karna
Maula tu reham karna

Ik vaakaya sunati hun
Main apni zubaani
Apne badon se maine
Suni hai ye kahaani
Rehta thaa kisi shehar
Mein ek aisa bhi insaan
Jo naam ka muslim tha
Magar kaam ka shaitaan

Zaalim ko zor e baazu
Pe apne gurur tha
Yaani ke bekhudi mein
Khuda se wo dur tha
Sab log use kehte the
Jallaad sitamgar
Masum ki fariyaad
Ka us pe na tha asar
Jo wada us ne kar liya
Wo kar ke dikhaya
Paison ke liye qatl
Kiye khun bahaya
Ik din wo behta khun
Asar us pe kar gaya
Insaan zinda ho gaya
Shaitaan mar gaya
[Allaah karam karna
Maula tu reham karna] (x2)

Imaan jise kehte hain
Farmaan e khuda hai
Quraan ke har lafz
Mein us ki hi sadaa hai
Allaah ne bakshi hai
Jo imaan ki daulat
Ye sab se badi cheez
Hai insaan ki daulat
Soye hue dilon ko
Jagata hai ye imaan
Bhatke huon ko raah
Dikhata hai ye imaan
Imaan ki garmi se
Pighal jaate hain patthar
Is nur se bante hain
Sawarte hain muqaddar
Jo sab se pyar karta
Hai insaan wohi hai
Muslim hai wohi
Saahib e imaan wohi hai
[Allaah karam karna
Maula tu reham karna] (x2)

Jis kaam ke karne pe
Naa ho raazi koi dil
Wo kaam bhi is duniya
Mein nafrat ke hai kaabil
Jo kuch bhi zubaan
Keh de wo iqraar nahin hai
Laghzish hai labon ki
Wo gunehgaar nahin hai
Jo dil se nahin karta
Burayi ka irada
Allaah se wo tauba
Kare tod de wada
Jaldi jo sambhal jaaye
Wo nadaan nahin hai
Imaan jis mein ho
Wo beimaan nahin hai
Duniya mein hamesha
To nahin rehta andhera
Insaan jahan jaage
Wahin pe hai savera
[Allaah karam karna
Maula tu reham karna] (x2)

Jo sacche dil se karta
Hai imaan ki aarzoo
Allaah ki nazaron mein
Wo hotaa hai surkh ruh
Imaan mein kya kya
Na saha pyaare nabi ne
Kya aisi musibat bhi
Utthaayi hai kisi ne
Karbal ke shahidon ne
Sabak hum ko padhaya
Sajde mein de ke jaan
Ko imaan bachaya
Iss raah mein jo sehte
Hain taqlif o musibat
Ik roz un pe hoti
Hai allaah ki rehmat
Insaan hai wo jo dusron
Ka dil na dukhaye
Pad jaaye agar jaan
Pe to jaan lutaye
[Allaah karam karna
Maula tu reham karna] (x2)


Official Video Song



Song Details

The Allah Karam Karna song lyrics is written by Gauhar Kanpuri in the year 1979. It was sung by Suman Kalyanpur, featuring Amjad Khan, Vijaya Chaudhary, Pallavi Joshi. The details of Allah Karam Karna song lyrics are given below:

movie Movie: Dada

singer Singer: Suman Kalyanpur

lyricist Lyricist / Lyrics Writer: Gauhar Kanpuri

music Music / Music Composer: Usha Khanna

artist Artists / Stars: Amjad Khan, Vijaya Chaudhary, Pallavi Joshi

music on Music On:

year Year: 1979


Allah Karam Karna lyrics from Dada

Dada Songs List

12
8
10
4
8
4
4
4